Agar aap apne WhatsApp chats per Koi mahatvpurn data rakhte Hain to Apne WhatsApp chat ko PDF mein download aur export bhi kar sakte hain. aap chahe to personal WhatsApp chat ke saath group chat ko bhi export kar sakte hain. Bata Den ki WhatsApp mein chats data ko export karne ke liye built in feature maujud Hai. pahle aapko Apne WhatsApp chat data ko email per bhejna hoga fir Google Docs ya fir WPS office ki madad se WhatsApp text format ko pdf format mein Badal sakte hain. is post mein aaiye aapko batate Hain ki kaise WhatsApp chat ko export kar sakte hain aur kaise use PDF mein Badal sakte hain.
Kya WhatsApp chat ko PDF mein export kar sakte hain?
Bilkul, WhatsApp aapko WhatsApp chat message ko sidhe PDF mein export karne ki suvidha nahin deta hai lekin aap pahle WhatsApp chat ko .TXT file mein export kar sakte hain fir use PDF mein convert kar sakte hain. WhatsApp chat ko export karne se pahle in baaton ka Dhyan rakhna bahut jaruri hai.
- Aap personal aur group WhatsApp chat donon ko export kar sakte hain.
- Media ke saath Keval latest 10000 message ko export kar sakte hain vahi Bina media file ke 40000 message ko export kar sakte hain.
- Sabhi chat Thread ko aap ek hi baar mein export nahin kar sakte.
WhatsApp chat ko PDF mein export karne ka Tarika
WhatsApp mein chat data ko export karne ke liye built in feature maujud hai iske liye niche diye Gaye tarikon ko follow karna hoga-
Android device mein WhatsApp chat ko kaise export Karen-
Step 1 sabse pahle us Chats ko open Karen jise aap export karna chahte hain.
Step 2 iske baad top mein dayi taraf three dot icon per tap Karen.
Step 3 ab more wale option per click Karen aur export chat per jaen.
Stay 4 aap se poochha jaega ki WhatsApp chat ko media ke saath export karna chahte hain ya Bina media ke sath.
Step 5 yahan aapko share menu milega is list se aap Gmail ya fir apni pasand ki email service ko select kar sakte hain iske baad automatically exported.txt file email se attach ho jayegi ab ise apni email id per send kar le.
iOS device per WhatsApp chat ko kaise export Karen?
Step 1 iOS device for WhatsApp chat for export karne ke liye sabse pahle us chat ko open Karen.
Step 2 conversation thread me top per contact name per tap Karen.
Stay 3 screen per contact information dikhai Dega iske baad niche scroll karte hue export conversation per click Karen fir pop up menu se without media ko select kar le.
Step 4 ab aapko share window dikhai dega ab export file ko email per send kar de.
WhatsApp chat file ko PDF mein kaise badlen?
Agar aapane WhatsApp file ko export Kar Liya Hai to fir use pdf mein badalne ke liye niche diye Gaye tarikon ko aazma sakte hain
WhatsApp chat ko Google docs se PDF me kaise badlen
Step 1 PC per email ko open karne ke liye WhatsApp se export.txt file per jaaye.
Step 2 ab mail me .txt file per click Karen.
Step 3 Gmail ka istemal kar rahe hain to open with button per click Karen aur yahan Google docs ko select kar le iska dusra Tarika yah hai ki sabhi text chat ko copy kar le aur use Google document per paste kar de
Step 4 Google docs per jaane ke baad fir File > Download > A PDF file mein jaen.
Step 5 iske baad PDF file ko PC per save kar sakte hain.
WhatsApp chat ko WPS office app se PDF mein kaise convert Karen?
Step 1 aapane jis WhatsApp chat ko email per export kiya hai us .txt file ko mobile per save kar le iske liye email ko open Karen aur download icon per click Karen.
Step 2 iske baad WPS office app ko download aur install kar le. fir niche file menu per press Karen fir device>download par click Karen.
Step 3 fir tool per tape Karen export to PDF Karen. fir preview window dikhai dega. export to PDF ko confirm Karen in steps ke jariye WhatsApp chat ko PDF mein export kar payenge.
FAQs
Yadi main Android se iPhone per switch kar raha hun to kya mera WhatsApp conversation delete ho jaega?
Yadi aapane Apne WhatsApp data ka backup liya Hai to fir अलग-अलग phone per switch karne per bhi chat histry delete nahin hogi.
WhatsApp per Google drive backup ko kaise setup kar sakte hain?
- Apne Android device per WhatsApp ko open Karen.
- Iske baad three dot wale option per click Karen.
- fir settings > chats > chat backup per jaaye.
- Yadi aap pahli baar WhatsApp data ka Google drive per backup le rahe hain to pahle backup ke liye Google drive > Apna Google account add karna hoga fir backup button per click karne ke baad backup ki prakriya shuru ho jayegi.
Kya WhatsApp Backup ko Google drive se iCloud per transfer kar sakte hain?
Nahin Aisa Koi sidha Tarika maujud nahin hai jisse aap WhatsApp Backup ko aap Google drive se sidhe iCloud per transfer kar sakte hain.
कोई टिप्पणी नहीं