Aaj ke samay mein social media per apni creativity dikhane ka sabse aasan aur personal Tarika Hai WhatsApp status. doston, Parivar ya office group ke log sab aapke status ko dekhte hain aur reaction dete Hain. ab WhatsApp ne ismein aise 5 naye features jod diye Hain Jo aapke status ko aur bhi unique aur attractive banaa denge agar aap bhi chahte Hain ki aapka status sabki najar mein superhit ho to in feature ko jarur apnaye.




Number 1:- status reaction emoji - instant feedback ka maza 


Pahle agar Kisi Ko aapka status pasand aata tha to unhen reply type karna padta tha lekin ab status reaction emoji features se log aapke status per sidhe smile heart ya fire Jaisi emoji se react kar sakte hain. 



Tip:- Emoji reaction pane ke liye status ko majedar relatable aur trending rakhen 




Number 2:- voice status update - awaaz mein apna Andaaz 


Ab aap sirf photo ya video hi nahin balki apni awaaz mein bhi status Daal sakte hain yah feature 30 second Tak ki audio record karne ki suvidha deta hai. 


  • Gana gakar koi majedar message dekar ya motivational quote bolkar Apne doston ko impress Karen. 
  • Khas Dinon per personal message record karke bhejna aur bhi asardar lagta hai. 


Tip:- Background mein halka music dalkar voice status ko professional touch de.


Number 3:- private audience selection - bus Apne logon ke liye 



कभी-कभी Ham chahte Hain ki koi status sirf kuchh khas logon ko hi dikhe ab WhatsApp ka private audience selector yah kam aasan kar deta hai. 



  • Aap har status ke liye अलग-अलग audience chun sakte hain. 
  • Personal message, surprise plan ya emotional moment ab sirf Apne khaas doston Tak simit Rakh sakte hain. 



Tip:- Family office or friends alag alag groups ke liye अलग-अलग status dalen. 



Number 4:- status link share - internet ki duniya aapke status mein 



Ab aap apne WhatsApp status mein website, YouTube video ya blog link bhi Daal sakte hain 


  • Agar aap content creator business owner ya freelancer Hai to yah feature aapke liye vardan hai. 
  • Log sidha aapke status se link per click karke aapke kaam Tak pahunch sakte hain 



Tip:- link ke saath ek creative photo ya majedar text dalen taki log click karne ke liye utsahit ho. 



Number 5:- status background customisation - aapka style aapki pahchan hai 



Pahle status mein tax dalte samay background customisation limited tha lekin ab WhatsApp ne ismein Kai naye Colors aur photo background option Jude Hain. 


  • Apne status ko unique banane ke liye background mein high quality image ya brand color istemal Karen. 
  • Font style badalkar professional look De.


Tip:- season festival ya event ke hisab se background theme badle. 



Conclusion 


Whatsapp ke yah panch naye features na sirf aapke status ko creative aur attractive banaenge balki aapko apni personality aur talent dikhane ka naya mauka denge. ab sirf status dalna hi nahin balki use superhit banana bhi aapke haath mein Hai to der kis baat ki aaj hi in features ka istemal karke Apne status Ko sab ka favourite banaa den.

WhatsApp स्टेटस हुआ सुपरहिट! इन 5 नए फीचर्स से आपकी क्रिएटिविटी बनेगी सबकी फेवरेट

Scribie website se paise kaise kamae - Puri jankari 2025 





Agar aapko angreji sunne aur likhane mein achcha experience hai to aap Scribie Jaisi transcription website se aasani se Ghar baithe paise Kama sakte hain. Scribie ek  Freelance transcription platform hai Jahan aapko audio ya video file sunkar use text mein badalna hota hai. iska kaam simple hai aur ismein jyada takniki skill ki jarurat nahin Hai. 




Number 1- Scribie kya hai? 


Scribie ek online transcription company hai jo duniya bhar ke client  se audio ya video file leti Hai aur unhen text mein Badal kar deti hai ismein Kaam karne Wale freelancer (Jaise aap) ko har project ke hisab se payment milta Hai scribie ke client jyadatar interview, meetings, lecture, podcast aur YouTube video ki transcription karvate Hain. 





Number 2- Scribie se kamai ke liye kya skill chahiye? 



  • Angreji ki acchi samajh (listening aur writing donon) 
  • Tej aur Sahi typing speed (30 se 40 wpm achcha Mana jata hai) 
  • Grammer aur spelling ki jankari 
  • Dhyan aur dhairya (kyunki audio mein background noise ho sakta hai) 
  • Internet for computer ya laptop ka basic knowledge 





Number 3 Scribie par register kaise karen? 


  • Website kholen ( https://scribie.com/ )
  • Apply now for click Karen. 
  • Email id se sign up Karen aur profile banaen. 
  • Apni personal details aur payment bhare (PayPal account jaruri hai). 
  • Ek online transcription test de. 
  • Agar aap test paas kar lete hain to aapko project Milna shuru ho jaega. 





Number 4 Scribie par kaam karne ka process? 


Scribie par aapko kaam chhote chhote task me milta Hai (aamtaur par 6 minut ka audio)
Process kuchh is tarah hai - 


  • Audio ya video sune - headphone ka istemal Karen.
  • Transcript likhe - Jo sunai de use Sahi Sahi type Karen. 
  • Spell check and grammar check Karen. 
  • Submit Karen - private team quality check karegi 
  • Payment milega - aapko paypal me.



Number 5 Scribie per kamai kitni hoti hai? 



  • Scribie prati audio ghanta 5 se 25 dollar deti Hai. (Yani 1 ghante ke audio ki transcription ke liye) 
  • Lekin ek ghante ka audio transcribe karne mein aapko 3 se 4 ghante lag sakte hain yah aapki speed per nirbhar karti hai. 
  • Scribie 1 se 2 dollar ka bonus bhi deti hai agar aap achchi quality aur samay per submit karte Hain. 



Number 6 - Scribie se payment kaise milta Hai? 


  • Payment PayPal ke jariye hota Hai. 
  • Aap kabhi bhi withdraw kar sakte hain Koi minimum limit nahin Hai. 
  • Payment USD mein milega Jo aapke Bank khate mein INR me convert ho jaega. 




Number 7 - Scribie ke fayde 


  1. Ghar baithe kam karne ki suvidha. 
  2. Fixed client dhundhne ki jarurat nahin. 
  3. Minimum payout limit nahin. 
  4. Bonus aur promotion ka mauka. 
  5. Part time ya full time dono ke liye achcha. 



Number 8 - Scribieke nuksan 



  1. Payment rate thoda kam hai. 
  2. Audio mein background noise ho sakta hai. 
  3. Test pass karna thoda mushkil ho sakta hai. 




Number 9 - Scribie mein jaldi selection ke tips 


  • Transcription ke liye express scribe Ya Otranscribe Jaise tools ka istemal Karen. 
  • Grammarly se apne grammer aur spelling sahi Karen. 
  • YouTube se English listening practice Kare.
  • Test Dene Se pahle is Scribie ke sample files dekhen.





Conclusion 


Agar aap shuruaat mein Freelancing  karna chahte hain aur aapke pass jyada Anubhav nahin Hai to Scribie ek achcha aur bharosemand platform Hai yah part time kamai ke liye behtarin hai aur Jaise Jaise aapki speed aur accuracy badhegi वैसे-वैसे aapki kamai bhi badhegi. 



Note:- Scribie se bahut jyada paise kamana mushkil Hai Lekin ise ek side income ke roop mein jarur istemal Kiya Ja sakta hai.

Scribie website se paise kaise kamae Puri jankari 2025

 

Hailuo App kya hai?






Hailuo App ek nai AI aadharit mobile application hai jo khas taur per chatting, content creation, Notes banane sawalon ke jawab dene aur productivity badhane ke liye banai gai hai. 



Yah app bahut si bhashaon mein kaam kar sakta hai aur ismein AI technology ke jariye aapko turant jankari, sujhav aur Idea mil jaate Hain. hailuo app ko khastaur per un logon ke liye design Kiya gaya hai jo mobile per jaldi jaldi sikhana ya creative kaam karna chahte hain. 




🌟Hailuo app ki mukhya khasiyate



1. AI chatbot 

Aap is app me Apne sawal poochh sakte hain aur turant jawab Pa sakte hain. 

"Jaise mujhe ek Kavita likhkar do" ya "Kisi topic per jankari do" 



2. content creation mein madad 


Blog, article, script, social media post sab kuchh is per likhva sakte hain 



 3 translation for language support 

     Alag - Alag bhasao me baatchit aur anuvaad karne ki suvidha.


4. study aur notes ke liye perfect

Student is per sawal puchkar turant samajh sakte hain aur shorts notes banaa sakte hain.


5.Smart aur user friendly interface 


Hailuo App ko istemal karna bahut aasan hai koi bhi ise kuchh minut mein Sikh sakta hai. 




📲Hailuo app kaise download Karen? 


Android users ke liye:- 

  • Play Store per jaen 
  • Search Karen Hailuo AI ya Hailuo app
  • Install button per click karke app Ko download kar le. 



iPhone users ke liye:- 

  • App store kholen 
  • Search bar mein Hailuo likhe
  • App Ko install karle. 



Download karne ke baad aapko sirf ek account banana hota Hai ya Apne Google/ email id se login karna hota Hai. 



🚀Hailuo app ka upyog kaise karen?

 

Number 1. Kholen aur login Karen 


Pahli bar open karne per yah aapse Bhasha aur login details puchega 

Google id ya email id se login kar le. 



Number 2. home screen per jaen 



Yahan aapko ek chat box dikhega Jahan aap apna sawal, query ya kaam likh sakte hai.


Number 3. AI se sawal puche ya kaam Bataye 


Jaise hi aap apna sawal likhenge aur send karoge hailuo aapko turant jawab dega. 



Number 4. content creation ke liye command de


Aap ise likhkar bata sakte hain jaise - 


  • Mujhe ek YouTube script likh do 
  • Mujhe Hindi mein ek prernadayak kahani chahie aur yah turant aapke liye taiyar Kar dega. 



Number 5. save aur share Karen 


taiyaar content ko aap copy bhi kar sakte hain. PDF banaa sakte hain ya direct share kar sakte hain. 




🔥Hailuo app kin logon ke liye faydemand hai 



Students - padhaai aur notes ke liye 

Blogger aur writers - article, script, review likhane ke liye 

Freelancer clients ke liye - jaldi content taiyar karne ke liye 

Social media creators - reels, shorts ya post ke Idea ke liye 

Samanya user -  koi bhi sawal ya jankari chahiye to turant mil jaati Hai. 



💡Fayde 


✔️Samay bachaata hai. 

✔️Turant jawab aur sujhav deta hai. 

✔️Creative Idea deta hai. 

✔️Aasan aur user friendly. 


⚠️Dhyan Dene wali baten 


  • Internet connection jaruri hai. 
  • Kuchh advance features ke liye premium subscription Lena padh sakta hai. 
  • Hamesha jankari ko dobara check kar le kyunki कभी-कभी purani ya galat jankari bhi De sakta hai. 



Conclusion 


Hailuo app ek shandar AI tool hai jo aapke rojmarra ke kamo ko aasan aur Tej banaa deta Hai. chahe aapko padhaai karni ho Koi artical likhna ho ya social media ke liye creative post banani ho yah app aapke liye bahut madadgar hai. 


Agar aap ek smart aur free chatting creation app dhundh rahe hain to Hailuo app jarur istemal karke dekhen.

Hailuo App kya hai? | Hailuo app ka upyog kaise karen?

 Agar aap apne WhatsApp chats per Koi mahatvpurn data rakhte Hain to Apne WhatsApp chat ko PDF mein download aur export bhi kar sakte hain. aap chahe to personal WhatsApp chat ke saath group chat ko bhi export kar sakte hain. Bata Den ki WhatsApp mein chats data ko export karne ke liye built in feature maujud Hai. pahle aapko Apne WhatsApp chat data ko email per bhejna hoga fir Google Docs ya fir WPS office ki madad se WhatsApp text format ko pdf format mein Badal sakte hain. is post mein aaiye aapko batate Hain ki kaise WhatsApp chat ko export kar sakte hain aur kaise use PDF mein Badal sakte hain. 





Kya WhatsApp chat ko PDF mein export kar sakte hain? 


Bilkul, WhatsApp aapko WhatsApp chat message ko sidhe PDF mein export karne ki suvidha nahin deta hai lekin aap pahle WhatsApp chat ko .TXT file mein export kar sakte hain fir use PDF mein convert kar sakte hain. WhatsApp chat ko export karne se pahle in baaton ka Dhyan rakhna bahut jaruri hai. 




  1. Aap personal aur group WhatsApp chat donon ko export kar sakte hain. 
  2. Media ke saath Keval latest 10000 message ko export kar sakte hain vahi Bina media file ke 40000 message ko export kar sakte hain. 
  3. Sabhi chat Thread ko aap ek hi baar mein export nahin kar sakte. 


WhatsApp chat ko PDF mein export karne ka Tarika 



WhatsApp mein chat data ko export karne ke liye built in feature maujud hai iske liye niche diye Gaye tarikon ko follow karna hoga- 


Android device mein WhatsApp chat ko kaise export Karen- 



Step 1 sabse pahle us Chats ko open Karen jise aap export karna chahte hain. 


Step 2 iske baad top mein dayi taraf three dot icon per tap Karen. 


Step 3 ab more wale option per click Karen aur export chat per jaen. 



Stay 4 aap se poochha jaega ki WhatsApp chat ko media ke saath export karna chahte hain ya Bina media ke sath. 



Step 5 yahan aapko share menu milega is list se aap Gmail ya fir apni pasand ki email service ko select kar sakte hain iske baad automatically exported.txt file email se attach ho jayegi ab ise apni email id per send kar le. 




iOS device per WhatsApp chat ko kaise export Karen? 



Step 1 iOS device for WhatsApp chat for export karne ke liye sabse pahle us chat ko open Karen. 


Step 2 conversation thread me top per contact name per tap Karen. 


Stay 3 screen per contact information dikhai Dega iske baad niche scroll karte hue export conversation per click Karen fir pop up menu se without media ko select kar le. 



Step 4 ab aapko share window dikhai dega ab export file ko email per send kar de. 





WhatsApp chat file ko PDF mein kaise badlen? 



Agar aapane WhatsApp file ko export Kar Liya Hai to fir use pdf mein badalne ke liye niche diye Gaye tarikon ko aazma sakte hain 


WhatsApp chat ko Google docs se PDF me kaise badlen 



Step 1 PC per email ko open karne ke liye WhatsApp se export.txt file per jaaye. 

Step 2 ab mail me .txt file per click Karen. 

Step 3 Gmail ka istemal kar rahe hain to open with button per click Karen aur yahan Google docs ko select kar le iska dusra Tarika yah hai ki sabhi text chat ko copy kar le aur use Google document per paste kar de 

Step 4 Google docs per jaane ke baad fir File > Download > A PDF file mein jaen. 

Step 5 iske baad PDF file ko PC per save kar sakte hain. 




WhatsApp chat ko WPS office app se  PDF mein kaise convert Karen? 




Step 1 aapane jis WhatsApp chat ko email per export kiya hai us .txt file ko mobile per save kar le iske liye email ko open Karen aur download icon per click Karen. 

Step 2 iske baad WPS office app ko download aur install kar le. fir niche file menu per press Karen fir device>download par click Karen. 

Step 3 fir tool per tape Karen export to PDF Karen. fir preview window dikhai dega. export to PDF ko confirm Karen in steps ke jariye WhatsApp chat ko PDF mein export kar payenge. 



FAQs


Yadi main Android se iPhone per switch kar raha hun to kya mera WhatsApp conversation delete ho jaega? 


Yadi aapane Apne WhatsApp data ka backup liya Hai to fir अलग-अलग phone per switch karne per bhi chat histry delete nahin hogi. 




WhatsApp per Google drive backup ko kaise setup kar sakte hain? 



  • Apne Android device per WhatsApp ko open Karen. 
  • Iske baad three dot wale option per click Karen. 
  • fir settings  > chats > chat backup per jaaye. 
  • Yadi aap pahli baar WhatsApp data ka Google drive per backup le rahe hain to pahle backup ke liye Google drive > Apna Google account add karna hoga fir backup button per click karne ke baad backup ki prakriya shuru ho jayegi. 


Kya WhatsApp Backup ko Google drive se iCloud per transfer kar sakte hain? 



Nahin Aisa Koi sidha Tarika maujud nahin hai jisse aap WhatsApp Backup ko aap  Google drive se sidhe iCloud per transfer kar sakte hain.

WhatsApp Chats को पीडीएफ में कैसे डाउनलोड और एक्सपोर्ट करें, जानें ये तरीके

 Gaon walon Ko kaise milegi free Ghar ? Puri jankari 2025 







Aaj bhi Bharat ke karodon log gaon mein rahte hain aur unmen se Kai ke paas apna pakka Makan nahin Hai. Sarkar chahti hai ki har Garib Parivar ke sir per ek majbut chhat ho, isi vajah se Kai yojanaen chalai ja rahi hain jinse gaon walon Ko free Ghar mil sakta hai is artical mein Ham vistar se janenge ki कौन-कौन si yojanaen hain kaise milti hain aur aavedan ki prakriya kya hai. 




Pradhanmantri Yojana - gramin (PMAY-G)

 



Pradhanmantri aawas Yojana gramin Kendra Sarkar ki Sabse Badi Yojana Hai jiske tahat gramin kshetron ke Garib Parivar ko mukt pakka Makan banane ke liye vittiya sahayata Di jaati Hai. 




📌Kaise milega fayda?



Jinke Naam SECC 2011 (samajik arthik janganana) ki Suchi mein hai. 

Jinke pass kaccha Ghar Hai ya bilkul Ghar nahin Hai. 

Jo BPL (garibi Rekha) ke Parivar mein aate Hain. 

Jinke paas pahle Se Koi pakka Makan nahin Hai. 




💰Kitna Paisa milta Hai? 


🏠120000rs se 130000rs Tak ka anudan. 

🏠Shauchalay banane ke liye 12000rs atirikt. 

🏠MANREGA ke tahat 90 se 95 din ki majduri. 


📝Aavedan kaise karen? 



👉Apne gaon ke Gram Panchayat mein jayen. 

👉Vahan ke Panchayat sachiv ya rojgar Sevak se mile. 

👉Form bhare aur jaruri dastavej den Jaise Aadhar card, bank passbook, photo, ration card etc. 

👉approval ke baad Paisa sidhe aapke bank account mein aaega. 




Rajya Sarkar ki yojanaen 



kai rajya sarkare bhi Apne स्तर per mukhymantri aawas Yojana ya Anya Yojana chalati hai Jaise- 



  • Uttar Pradesh mukhymantri aawas Yojana (gramin).

  • Madhya Pradesh mukhymantri aawas mission. 

  • Bihar Indira aawas Yojana (Ab pmay mein Shamil). 



In Yojana mein bhi vahi prakriya hai: 



👉Block Vikas karyalay ya janpad Panchayat mein jaaye. 

👉Yojana ki jankari len aur form bhare. 

👉Patrata ke anusar aapko bhi free ghar ka Labh milega. 



Jaruri dastavej 



Ghar paane ke liye aapke paas yah kagaj jarur hona chahiye - 




Aadhar card 

Ration card ya BPL card 

Bank passbook 

MANREGA job card (agar ho)

Passport size photo 

Panchayat se praman Patra (garib varg ka).


Online list kaise check Karen? 



Agar aap Janna chahte Hain ki aapka naam Suchi mein hai ya nahin to aap Ghar baithe mobile se check kar sakte hain. 



Number 1:- Pmayg.nic.in website per jaen. 

Number 2:- upar diye Gaye menu mein Stakeholders → IAY/PMAYG Beneficiary per click Karen. 

Number 3:-Apna registration number ya Anya detail dalen. 

Number 4:-Screen per dekh le ki aapka naam list mein hai ya nahin. 




Kyon chal rahi hai yah Yojana? 




Sarkar ka Lakshya Hai ki har Garib ke paas pakka ghar ho. 2025 Tak gramin Kshetra mein lagbhag har Patra Parivar ko Makan mil sake. iske liye budget badhaya gaya hai aur list lagatar update ho rahi hai. 




🔑Artical ka saar 



Free Ghar pane ke liye aapko Pradhanmantri aawas Yojana ya rajya Sarkar ki aawas Yojana mein aavedan karna hoga. 


Patrata mein Garib varg hona aur khud ka pakka ghar na hona jaruri hai. 


Aavedan Gram Panchayat me hota hai aur Paisa sidhe Bank khate mein milta Hai 


Naam check karne ke liye pmayg.nic.in par jaye.

Gaon walon Ko kaise milegi free Ghar ? Puri jankari 2025 | गाँव वालों को कैसे मिलेंगे फ्री घर? पूरी जानकारी 2025

 Whatsapp ke naye top 5 features ki puri jankari 




WhatsApp duniya ka sabse jyada istemal kiye jaane wala messaging app Hai. ise har umra ke log rojana istemal karte hain yahi vajah hai ki WhatsApp समय-समय per naye features lata rahata Hai taki user ka Anubhav aur behtar ho sake. 2025 mein WhatsApp ne Kai shandar update diye Hain inmein se top five features aise Hain jo aapki Chating ko aur majedar aur aasan aur surakshit banaa denge. aaiae jante Hain in features ke bare mein vistar se 





Number 1:- message edit karne ka feature 


Pahle WhatsApp per agar koi message galat chala jata tha to aap use sirf delete kar sakte the lekin ab naye update mein aap bheje Gaye message ko 15 minut ke andar edit kar sakte hain. 




 🖋️Kaise kam karta hai 


  • Message per tap Karen aur edit option chune,
  • Galat shabdon ko badle aur dobara bhej den, 
  • Message ke sath Chhota edited likha aaega taki  samne wala Jaan sake ki message edit hua Hai. 



Fayda:- typing mein galtiyan ya jaldi mein bheje Gaye message ko ab aasani se sudhar sakte hain. 



Number 2:- chat lock aur secret code 


Privacy per WhatsApp ne ek bada kadam uthaya hai chat ko lock kar sakte hain aur us chat ko kholne ke liye ek secret code set kar sakte hain. 



🔒Kaise kam karta hai 



  • Jis chat ko lock karna chahte hain us per jaen aur Lok chat chune, 
  • Uske bad apni pasand ka Peen ya password set Karen, 
  • ab vah  chat Lock folder mein Chali jayegi Jo sirf code dalne ke baad khulegi. 




Fayda:- private baten ab surakshit rahengi chahe Koi aapka phone hi kyon Na utha Le. 





Number 3:- High quality media sharing 



WhatsApp per photo aur video bhejte samay Aksar quality kam ho jaati thi lekin naye update mein aap HD quality mein photo aur video bhej sakte hain 



📷Kaise kam karta hai 


  • Photo ya video bhejne se pahle quality option mein jakar HD chune, 
  • Ab aapki media file high resolution mein jayegi. 


Fayda ab yadgar tasviren aur video साफ-सुथरे aur crystal clear bhej sakte hain. 



Number 4:- community feature mein sudhar 



WhatsApp mein community feature mein aur bhi Kai badlav kiye Hain ab aap ek hi jagah per kai groups ko ek hi Sath jodkar bade level per baat kar sakte hain 


🏘️Kya naya hai 



  • Ab ek community mein 50 Tak group jod sakte hain, 
  • Admin ke liye naye tools Jaise announcement bhejne ka option, 
  • Bade school, office ya mohalle ke liye yah feature shandar hai . 



Fayda Badi team ke sath Jude rahana ab aasan ho gaya hai.



Number 5:- instant stickers or AI support AI generated speakers 



WhatsApp Ne ab artificial intelligence ki madad se instant steakers banane ka feature Diya Hai. 




🤖Kaise kam karta hai 



  • Chat mein jaen aur sticker option per tap Karen, 
  • AI ko apna text ya Idea bataen Jaise Happy Birthday ya good morning, 
  • Turant aapke liye unic aur majedar sticker banaa dega. 



Fayda ab aapki chat aur bhi creative aur expressive ho jayegi. 




Conclusion 

WhatsApp har update ke sath khud Ko behtar banaa raha hai 


  1. Message edit karne ki suvidha 
  2. Chat Lock aur secret code 
  3. High quality photo, video sharing 
  4. Community feature mein sudhar 
  5. Aur AI sticker 


Yah sare feature aapke chatting experience ko next level per Le jaenge agar aapane abhi tak WhatsApp ka latest varjan update nahin kiya hai to turant kar le aur in naye features ka Maja uthaye.

Whatsapp ke naye top 5 features ki puri jankari

 टॉप 5 गवर्नमेंट जॉब वेकेंसी :- दोस्तों क्या आप भी उनमें से हैं जो सरकारी नौकरी की तैयारी कर रहे हैं अगर आप सरकारी नौकरी की तैयारी कर रहे हैं तो आपके लिए एक खुशखबरी है दोस्तों इस महीने में बहुत सारे गवर्नमेंट जॉब वैकेंसी आ रही है जिनमें से दोस्तों हम आपके लिए टॉप 5 गवर्नमेंट जॉब वैकेंसी के बारे में बताएंगे 




इसमें एसएससी, रेलवे और बैंक की जब भी शामिल है इन सभी Job को भारत में सबसे अधिक लोग पसंद करते हैं 



अगर आप इन सारी जॉब्स के बारे में अच्छे से समझाना चाहते हैं तो इस पोस्ट को शुरू से अंत तक जरूर पढ़ें 



टॉप 5 गवर्नमेंट जॉब वेकेंसी इन इंडिया 



चलिए फ्रेंड्स इन गवर्नमेंट जॉब वैकेंसी के बारे में अच्छे से जानते हैं 

 


नंबर 1 एसएससी एमटीएस वेकेंसी 2025 



हमारी लिस्ट में सबसे पहले नंबर पर आती है एसएससी की तरफ से एमटीएस की वैकेंसी एसएससी एमटीएस यानी मल्टी टास्किंग स्टाफ होता है 2025 में एसएससी एमटीएस की 7000 से भी ज्यादा पदों पर भर्ती  की नोटिफिकेशन जारी हुई है 




आप ज्यादा पढ़े लिखे नहीं है फिर भी एक सरकारी नौकरी आप लोग करना चाहते हैं तो यह आपके लिए बहुत ही अच्छी अपॉर्चुनिटी है इसमें एजुकेशन क्वालीफिकेशन दसवीं मांगी गई है 



और आपकी उम्र 18 साल से 27 साल के बीच में होनी चाहिए तो आप इसके लिए अप्लाई कर सकते हैं 



एसएससी एमटीएस की फॉर्म 26 जून को जारी कर दिया गया है इसकी आवेदन की आखिरी तारीख 26 जुलाई 2025 है 



आप आवेदन करना चाहते हैं तो यहां क्लिक करके आवेदन कर सकते हैं 





नंबर दो एसएससी सीएचएसएल वेकेंसी 2025 



फ्रेंड्स आप 12वीं कक्षा पड़े हैं और एक अच्छी सरकारी नौकरी पाना चाहते हैं तो एससी ने स्टाफ सिलेक्शन कमीशन हायर सेकेंडरी लेवल पर काफी सारे पदों पर वैकेंसी जारी की है 




एससी ने सीएचएसएल नोटिफिकेशन के जरिए कल 3121 पदों पर भर्ती लाया है 




इसके आवेदन 23 जून से 28 जुलाई तक होंगे आपकी उम्र 18 से 27 वर्ष है और आप 12वीं पास आउट हैं तो आप इस पोस्ट के लिए अप्लाई कर सकते हैं इसकी परीक्षा दो चरणों में होगी 




नंबर 3 आईबीपीएस पो वैकेंसी 2025 



इंस्टिट्यूट ऑफ़ बैंकिंग पर्सनेल सिलेक्शन के द्वारा प्रोबेशनरी ऑफिसर (पीओ) पद पर 5208 पदों पर वैकेंसी लाया है 



दोस्तों अगर आप ग्रेजुएट हैं और बैंक में एक अच्छा पदों  काम करना चाहते हैं तो यह भर्ती  आपके लिए बेस्ट है बैंक में प्रोबेशनरी ऑफिसर (पीओ) बनने के लिए आपकी उम्र 21 से 30 वर्ष होनी चाहिए इसकी फॉर्म 1 जुलाई 2025 से उपलब्ध हो गया है जो 21 जुलाई 2025 तक वैलिड रहेगी यानी इसकी लास्ट डेट 21 जुलाई 2025 है 





नंबर 4 एसबीआई पो वैकेंसी 2025 


स्टेट बैंक ऑफ़ इंडिया के द्वारा भी  प्रोबेशनरी ऑफिसर (पीओ) की पद पर 541 भर्ती आई है आप बैंकिंग परीक्षा की तैयारी कर रहे हैं तो आप के पास दो दो शानदार विकल्प हैं आप एसबीआई पीओ की पोस्ट पर 24 जून से आवेदन कर सकते हैं इसकी लास्ट डेट 14 जुलाई है इसकी भी आयु सीमा 21 वर्ष से 30 वर्ष का है और इसमें ग्रेजुएट आप लोग पास आउट होने चाहिए 





नंबर 5 रेलवे टेक्निकल वैकेंसी 2025 


रेलवे के द्वारा रेलवे टेक्नीशियन की एक वैकेंसी आई है आप 10वीं पास है तो आप इस पोस्ट पर अप्लाई कर सकते हैं रेलवे ने ग्रेड 1 ग्रेट 2 ग्रेट 3 की पद पर 6180 लाया है इसकी आवेदन करने की तारीख 28 जून से 28 जुलाई तक का है अगर आप 10वीं पास है और आपकी आयु 18 से 33 वर्ष के बीच में है तो आप इस पोस्ट में जरूर अप्लाई करें 



अंतिम शब्द 

फ्रेंड्स इस आर्टिकल में हमने आपको टॉप फाइव गवर्नमेंट जॉब वैकेंसी के बारे में बताया है अगर आपका सपना एक सरकारी ऑफिसर बनना है तो आप इन सभी जॉब पर फॉर्म फिल कर सकते हैं और अपने एग्जाम की तैयारी कर सकते हैं और एग्जाम देकर नौकरी पा सकते हैं 



मैं आशा करता हूं कि आज की इस पोस्ट में जो जानकारी मैंने आपको दी है वह आपको जरूर पसंद आई होगी अगर आपको मेरे द्वारा दिए गए जानकारी पसंद आई हो तो आप इस पोस्ट को अपने दोस्तों के साथ भी शेयर करें ताकि वह भी इन सभी वैकेंसी का लाभ ले पाए और वह भी सरकारी नौकरी हासिल कर पाए। 

Top 5 Government Job Vacancy – 10 वीं,12 वीं और ग्रेजुएट के लिए शानदार भर्ती